nigah-e-shauq ne meri jahan dekha jidhar dekha usi ko jalwa-gar har-su ba-andaz-e-digar dekha mariz-e-ishq ne ghul ghul ke aakhir jaan hi de di dawaon ka asar main ne tumhaari chaaragar dekha hujum-e-ranj-o-gham hirman-o-hasrat yas-o-nakaami kahan juz is ke nakhl-e-ishq mein koi samar dekha hijab-e-abr mein ghairat se suraj ho gaya pinhan tumhaare husn ki dilkash jhalak jab baam par dekha jabin-e-shauq mein sajde niyazon ke tadap utthe nigah-e-justuju ne jab kisi ka sang-e-dar dekha ba-rang-e-kah chaha hasidon ne pis hi dalen 'jalal'-e-be-nawa ko mutmain jab apne ghar dekha