main duniya ki haqiqat jaanta hun kise milti hai shohrat jaanta hun meri pahchan hai sher-o-sukhan se main apni qadr-o-qimat jaanta hun teri yaaden hain shab-bedariyan hain hai aankhon ko shikayat jaanta hun main ruswa ho gaya hun shahar-bhar mein magar kis ki badaulat jaanta hun ghazal phulon si dil sahraon jaisa main ahl-e-fan ki haalat jaanta hun tadap kar aur tadpaegi mujh ko shab-e-gham teri fitrat jaanta hun sahar hone ko hai aisa lage hai main suraj ki siyasat jaanta hun diya hai 'naqsh' jo gham zindagi ne use main apni daulat jaanta hun