mujh ko jo kahte ho myan tum ho kahan tum ho kahan dil kahan hai pas mere meri jaan tum ho kahan wo gali hai ya pari-khana hai ya firdaus hai sach kaho ai hamdamo main hun kahan tum ho kahan apne se apna na ho kaam auron se rakhiye umid kya wasiyyat karte ho ai dostan tum ho kahan gul khilenge bar bar aur aaegi hir-phir bahaar hai hamesha sair-e-gulzar-e-jahan tum ho kahan jab jawani gai raha kya aana jaana sab gaya aao jaane do wo baaten ai miyan tum ho kahan dekhne ka chaw ye ainak utarti hi nahin dekho tum apni taraf ai mehrban tum ho kahan puchhte hain haal to munh dekh rahte ho 'raza' dil kahin aur hi hai sunte ho miyan tum ho kahan