mera maqsud-e-nazar lauh-e-muqaddar mein nahin main wo moti dhundhta hun jo samundar mein nahin baat karne ki bhi ab fursat nahin shayad use main ne jab aawaz di kahla diya ghar mein nahin kis tarah se dhoiye chehre se gard-e-mah-o-sal itne aansu bhi to apne dida-e-tar mein nahin jagmaga sakti ho jis se khamushi ki reg-e-dil itni aab-o-tab aawazon ke khanjar mein nahin wahimon ke bhut gham ke sae sannate ke nag kaun sa aaseb ai 'tahir' mere ghar mein nahin