zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar haal ka ye dukh tere mazi ki tujh ko den hai aaj tak jo kuchh kiya tu ne wo aainda na kar to bhi is tufan mein ek ret ki diwar hai apni hasti bhul kar har ek ki ninda na kar sau-guna hote hue bhi jis ne bazi haar di aisi buzdil bhid ka mujh ko numainda na kar jism kya shai hai ki meri ruh tak jal jaegi aag mein apni jala kar mujh ko tabinda na kar