mizaj-e-sahal-talab apna rukhsaten mange sabaat-e-fan magar ai dil azimaten mange ufuq pe husn-e-ada ke tulu-e-mehr-e-khayal faza-e-sher sahar ki latafaten mange musir hai aql ki mantiq mein aae uqda-e-jaan qadam qadam pe magar dil bashaaraten mange nai udan ko kam hain ye zauq ke shahpar nai hawaon ka har kham zihanaten mange shuur ke qad-o-qamat pe hai nazar kis ki ye farba-chashm zamana jasamaten mange nafis o sahl nahin waz-e-sher ki tadrij har ek soch digar-gun si haalaten mange sukun-e-tul-e-wafa hai talab ki kotahi ki lams-e-yaad dhadakti jasaraten mange shua-e-mehr se dhul jaen jaise mah o najm tera khayal anokhi tahaaraten mange na puchh 'saz' ko wo to sarab walon se phire hai kasa-e-dil mein haqiqaten mange