main ek umr ke baad aaj khud ko samjha hun agar rukun to kinara chalun to dariya hun jo lab-kusha hun to hangama-e-bahaar hun main agar khamosh rahun to sukut-e-sahra hun tujhe khabar bhi hai kuchh ai masarraton ke naqib main kab se saya-e-diwar-e-gham mein baitha hun jhulas gai hai hawa-e-dayar-e-dard mujhe bas ek pal ke liye shahr-e-gham mein thahra hun meri khudi mein nihan hai mere khuda ka wajud khuda ko bhul gaya jab se khud ko samjha hun main apne panw ka kanta main apne gham ka asir misal-e-sang-e-garan raste mein baitha hun bulandiyon se meri samt dekhne wale mere qarib to aa main bhi ek duniya hun agar hai maqtal jaanan ka rukh to ai 'mohsin' zara thahar ki tere sath main bhi chalta hun