uljhe kanton se ki khele gul-e-tar se pahle fikr ye hai ki saba aae kidhar se pahle jam-o-paimana-o-saqi ka guman tha lekin dida-e-tar hi tha yan dida-e-tar se pahle abr-e-naisan ki na barakat hai na faizan-e-bahaar qatre gum ho gae tamir-e-guhar se pahle jam gaya dil mein lahu sukh gae aankhon mein ashk tham gaya dard-e-jigar rang-e-sahar se pahle qafile aae to the naron ke parcham le kar sar-nigun ho gai har aah asar se pahle khun-e-sar bah gaya maut aa gai diwanon ko barish-e-sang se tufan-e-sharar se pahle surkhi-e-khun-e-tamanna ki mahak aati hai dil koi tuta hai shayad gul-e-tar se pahle maqtal-e-shauq ke aadab nirale hain bahut dil bhi qatil ko diya karte hain sar se pahle