main fard-e-jurm teri tayyar kar raha hun ai aasman sun le hushyar kar raha hun ek had bana raha hun shahr-e-hawas mein apni dar kholne ki khatir diwar kar raha hun malum hai na hogi puri ye aarzu bhi phir dil ko be-sabab kyun bimar kar raha hun phulon-bhari ye shakhen banhon si lag rahi hain ab kya bataun kis ka didar kar raha hun ye raste ki jin par chalta raha hun barson aaindagan ki khatir hamwar kar raha hun aasaniyon mein jina mushkil sa ho gaya hai main zindagi ko thoda dushwar kar raha hun same bana liya hai raaton ko main ne apna ghazlen suna suna ke sarshaar kar raha hun