pahle nazr lab-o-rukhsar karegi duniya phir tujhe bar-sar-e-paikar karegi duniya gesu-e-zist ko suljhane mein guzrenge din mujh se is darja agar pyar karegi duniya chhod degi tujhe takrane ki khatir aur phir dar-o-diwar se inkar karegi duniya mujh ko munsif ke bhi mansab pe karegi faez jhut se ladne ko tayyar karegi duniya mujh ko masruf bhi rakkhega koi kar-e-abas waqt-e-masraf pe ye bekar karegi duniya gesu-e-zulmat-e-shab mujh ko chhupa le na kahin is pahle ki giraftar giregi duniya main talabgar hun jine ka 'nizami' lekin jaane kab khwab se bedar karegi duniya