ruKHsar ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt

rukhsar ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
yani hai shaikh-e-kaba ko ab barhaman se rabt

yunhi hai mujh ko us but-e-paiman-shikan se rabt
hai chand roza ruh ka jaise badan se rabt

phulon ko jis tarah ho bahaar-e-chaman se rabt
yunhi tha mujh ko bhi kisi gul-pairahan se rabt

rakhta nahin hun sirf husain-o-hasan se rabt
hai mujh ko chaar yar se aur panjatan se rabt

khushiyan manaen ghair na is irtibaat par
mujh se bhi tha kabhi but-e-paiman-shikan se rabt

hamd-o-sana mein teri main ratb-ul-lisan rahun
jab tak rahe dahan mein zaban ko sukhan se rabt

diwana chashm-o-gesu-e-mushkin ka hun tere
rakhta hun is liye main ghazal-e-khutan se rabt

hum bhi kisi ke tir-e-nazar ke shikar the
hum ko bhi tha kabhi kisi nawak-fagan se rabt

kis darja tul hai shab-e-tar-e-firaq-e-yar
shayad hai us ko zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt

tir-e-nazar se dil ko na chhalni banao 'badr'
achchha nahin hai is but-e-nawak-fagan se rabt


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close