main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka ye kahani din ki ho jae na qissa raat ka tark ki mujh se mulaqat aap ne achchha kiya gham mita har-waqt ka jhagda gaya din-raat ka be-tamizon se tabiat aashna hoti nahin chahne wala hun main mahbub-e-khush aur raat ka main to kuchh kahta hun tum se tum samajhte ho kuchh aur jabki baaton mein kalam aaya maza kya baat ka tere aane ki dua manga kabhi jaga kiye raat-bhar aalam raha ai but khudai raat ka wah kya nam-e-khuda saj-dhaj hai kya andaz hai aadmi dekha nahin is qad ka aur is kat ka samne yun aae botal jaise aati hai ghata jam yun jhalke ki main dekhun saman barsat ka ishq wo ghaarat-gar-e-iman hai ye chahe agar waizon ko kalma padhwae manat-o-lat ka aise jhute ho agar sach bhi kabhi ho bolte eatibar aata nahin sahab tumhaari baat ka yar tum ko dil nahin dene ka be-bosa liye tum jo apni gunge ho main bhi hun apni ghat ka ahl-e-duniya khush hon ya na-khush hon kuchh parwa nahin aasra rakhta hai ye banda khuda ki zat ka jab tumhaari kan ki bijli chamak kar rah gai meri aankhon ne saman dikhla diya barsat ka qamat-e-jaanan hai mil-e-manzil-e-awwal mujhe kakul-e-shab-gun hai jada wadi-e-afat ka tash ka mubaf choti mein muqarrar chahiye chandni se aur hi hota hai joban raat ka 'bahr' apni apni qismat hai ba-shakl-e-mehr-o-mah zar use bakhsha use kasa diya khairaat ka