main ham-nafasan jism hun wo jaan ki tarah tha main dard hun wo dard ke unwan ki tarah tha jis ke liye ek umr kuen jhankte guzri wo mah-e-karachi mah-e-kanan ki tarah tha tu kaun tha kya tha ki baras guzre par ab bhi mahsus ye hota hai rag-e-jaan ki tarah tha jis ke liye kanta sa chubha karta tha dil mein pahlu mein wo aaya to gulistan ki tarah tha ek umr ulajhta raha duniya ki hawa se kya main bhi tere kakul-e-pechan ki tarah tha kuchh umr-e-gurezan se mere hath na aaya har lamha tere gosha-e-daman ki tarah tha dube se kahan pyas bujhi ahl-e-talab ki main wadi-e-gul mein bhi bayaban ki tarah tha jina to ghazab hai magar ai umr ajab hai tujh ko to khabar hai wo meri jaan ki tarah tha ai raat ke andhiyare mein jage hue lamho dhundo use wo khwab-e-pareshan ki tarah tha mitti ko yahan panw pakadna nahin aata main shahr mein bhi gard ke tufan ki tarah tha lo harf-e-ghazal ban ke numayan hua 'baqar' kal ramz sifat mani-e-pinhan ki tarah tha