main hi kashti bhi hun mallah bhi tufan bhi hun aur ab dub raha hun to pareshan bhi hun main jo auron ko dikhata hun is aaine mein apna chehra nazar aaya hai to hairan bhi hun haal ye kaisa faqiron sa bana rakkha hai kaun kah dega kisi waqt ka sultan bhi hun baryabi ki tamanna mein pada hun dar par baitha hota to samajh leta ki darban bhi hun be-bulae chala aata main na kahta tujh se aaj to mehrban ho ja tera mehman bhi hun aaj tak meri ghazal ne nahin pahchana mujhe jabki shair hi nahin sahab-e-diwan bhi hun