tera hai kaam kaman mein use lagane tak ye tir khud hi chala jaega nishane tak main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar mujhe to umr lagi tut phut jaane tak gae huon ne palat kar sada na di mujh ko main kitni bar gaya ghaar ke dahane tak tujhe to apne paron par hi e'tibar nahin tu kaise aaega ud kar mere zamane tak kiya tha faisla buniyaad-e-ashiyan ka 'nasim' hawaen tinke uda lain aashiyane tak