phunk dalegi ye ashkon ki sharar-bari mujhe rakh mein kab tak daba rakkhegi chingari mujhe tang mere jism par hai parsai ka libas mar dalegi kisi din ye riya-kari mujhe bechta hun apne fan-pare khule bazar mein kar gai ruswa sar-e-bazar nadari mujhe mere hisse mein to ghairon ki aza-dari bhi hai kab gawara hogi apnon ki dil-azari mujhe apni bedari ka khud mujh ko yaqin aata nahin lag gai hai aaj-kal khwabon ki bimari mujhe apne hi dil ki gawahi par kiya tha eatibar kar gai badnam khud apni taraf-dari mujhe wo suluk-e-narawa mujh se ba-nam-e-iltifat doston ki yaad hai ab tak adakari mujhe