zulmat-kadon mein kal jo shua-e-sahar gai tariki-e-hayat yakayak ubhar gai nazzara-e-jamal ki fursat kahan mili pahli nazar nazar ki hadon se guzar gai izhaar-e-iltifat ke baad un ki be-rukhi ek rang aur naqsh-e-tamanna mein bhar gai zauq-e-junun o jazba-e-bebak kya mile viran ho ke bhi meri duniya sanwar gai ab daur-e-karsazi-e-wahshat nahin raha ab aarzu-e-lazzat-e-raqs-e-sharar gai ek dagh bhi jabin pe meri aa gaya to kya shokhi to un ke naqsh-e-qadam ki ubhar gai tare se jhilmilate hain mizhgan-e-yar par shayad nigah-e-yas bhi kuchh kaam kar gai tum ne to ek karam hi kiya haal puchh kar ab jo guzar gai mere dil par guzar gai jalwe hue jo aam to tab-e-nazar na thi parde pade hue the jahan tak nazar gai sara qusur us nigah-e-fitna-ju ka tha lekin bala nigah-e-tamanna ke sar gai