main kisi zarre ko KHurshid nahin karta hun

main kisi zarre ko khurshid nahin karta hun
aur khurshid ki tardid nahin karta hun

sha'iri meri mera gham hai mera apna gham
main kabhi 'mir' ki taqlid nahin karta hun

main ne socha tha bhala hoga adab ka lekin
aisi haalat hai ki tanqid nahin karta hun

tere kahne se koi farq nahin padna hai
main to khud apni hi taid nahin karta hun

kya pata mujh se teri soch alag ho shayad
mashwara deta hun takid nahin karta hun

tu to mera hai mere yar kam-az-kam tujh se
aisi baaton ki main ummid nahin karta hun

ab mera chand kahin aur chamakta hoga
bas yahi soch ke main 'id nahin karta hun

main mujaddid bhi agar hun to suno diwano
mazhab-e-‘ishq mein tajdid nahin karta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close