nind ujdi to nigahon mein manazir kya hain hum ki betab kisi khwab ki khatir kya hain barg-e-masum se karte hain khizan ki baaten mausam-e-sabz ke lamhat bhi shatir kya hain jaise ujdi hui basti mein ibaadat ka saman sukhti shakh pe baithe hue tair kya hain kyun ba-har-lamha bikharta hai yaqin ka paikar tanz o tashkik ke asbab bil-akhir kya hain rah-e-pur-khar pe ye chalte bagule ki tarah roz-e-mahshar ke payami hain musafir kya hain dardmandana sadaqat ke payambar 'shahpar' dard ki baat samajhne se bhi qasir kya hain