meri aah-o-fughan se be-samaat ho gae ho kya abhi to ibtida ki hai abhi se so gae ho kya bhare bazar mein tanhaiyon ko dhundne walo mere zauq-e-junun mein tum bhi shamil ho gae ho kya wo gul jis ke liye ye aasman mausam badalta hai usi ka bij meri khak-e-jaan mein bo gae ho kya koi aawaz kyun dete nahin sanson ke markaz se ki tum bhi zindagi ke pech-o-kham mein kho gae ho kya kabhi jhanka hai tum ne dubte suraj ki aankhon mein kabhi tum jhil ke us par bhi yaro gae ho kya ye be-khwabi ka aalam aur har aahat pe chaunk uthna daricha kyun khula rakhte ho pagal ho gae ho kya wo jis par khema-zan the qafile laila-paraston ke kabhi us raste par bhi batao to gae ho kya zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya zamane ko kabhi taswir-e-hairat ban ke dekha hai kabhi be-samt rahon par bhi durweshon gae ho kya sunaoge kahan tak dastan-e-khair-o-shar apni 'ziya' is dasht-e-jaan mein ban ke qissa-go gae ho kya