main ne kab rakhna tha us but ko khuda se pahle kash mujh par ye khula hota qaza se pahle kitni patal saraon mein bhatakta raha hun rahat-e-jaan teri aaram-sara se pahle hum wo khushbu hain jo yaktai ki khu rakhte hain rabte tod ke aa baad-e-saba se pahle dil tere kufr pe hairan nahin hai mere dost la ki manzil bhi hai iqrar-e-wafa se pahle ab zaruri hai so hai dard baratne ka hunar chup ke arkan ada kije sada se pahle to zarurat har ek ijad ki man hai yani zakhm ijad kiya us ne dawa se pahle