misal-e-charkh raha 'asman' sar-gardan par aaj tak na khula ye ki justuju kya hai yahan to kaam tamanna hi mein tamam hua magar unhon ne na puchha ki aarzu kya hai ye bahs kasrat o wahdat ki hum se kyun waiz hamari aankhon se tu dekh chaar-su kya hai koi to chahiye rakhna umid-wari ko barae-chaak-e-jigar hajat-e-rafu kya hai masal jahan mein hai mushte namuna az-khurwar jo hat-dharam nahin tum ho to hat ki khu kya hai gawah hain ye teri bahki bahki baaton ke ye jam kya hai ye mai kya hai ye subu kya hai tumhaare dant nahin hire ki hain ye kaniyan tumhaare samne moti ki aabru kya hai