phir kisi qarya-e-hijrat se mujhe dekhta hai ishq ab kaun si ghayat se mujhe dekhta hai koi paigham musalsal hai meri khak ke nam ek sitara badi muddat se mujhe dekhta hai kis ko samjhaun shab-e-tar mein dil ki mushkil chand bhi apni suhulat se mujhe dekhta hai ain mumkin hai samundar ko bula lun main bhi shahr ka shahr raunat se mujhe dekhta hai aisi wahshat hai in aankhon mein ki ab sahra ka jo bhi zarra hai aqidat se mujhe dekhta hai kaisa aaina hun hairan nahin hun 'tariq' dekhne wala bhi hairat se mujhe dekhta hai