nashe mein chur raha karta hun roz makhmur raha karta hun ghair ke dil mein jagah hai meri ban ke nasur raha karta hun hoti rahti hai tajalli har dam barsar-e-tur raha karta hun nar ho kar main chamakta hun kabhi kabhi main nur raha karta hun ab kahan wasl ki raaten hain nasib ab to mahjur raha karta hun ikhtiyar apni tabiat pe nahin hae majbur raha karta hun shoala-ruyon se bahut bachta hun dur hi dur raha karta hun tere kuche mein utha kar zillat hai jo manzur raha karta hun ranj-o-gham ne mujhe mara hai 'fahim' sakht ranjur raha karta hun