main kaun hun ai ham-nafasan sokhta-jaan hun ek aag mere dil mein hai jo shoala-fishan hun laya hai mera shauq mujhe parde se bahar main warna wahi khalwati-e-raaz-e-nihan hun jalwa hai mujhi se lab-e-dariya-e-sukhan par sad-rang meri mauj hai main tab-e-rawan hun panja hai mera panja-e-khurshid main har subh main shana-sifat saya-e-ru zulf-e-butan hun dekha hai mujhe jin ne so diwana hai mera main bais-e-ashuftagi-e-tab-e-jahan hun taklif na kar aah mujhe jumbish-e-lab ki main sad sukhan-aghushta-ba-khun zer-e-zaban hun hun zard gham-e-taza-nihaalan-e-chaman se us bagh-e-khizan-dida mein main barg-e-khizan hun rakhti hai mujhe khwahish-e-dil bas-ki pareshan darpai na ho is waqt khuda jaane kahan hun ek wahm nahin besh meri hasti-e-mauhum us par bhi teri khatir-e-nazuk pe garan hun khush-bashi-o-tanziya-o-taqaddus the mujhe 'mir' asbab pade yun ki kai roz se yan hun