sukhan mein kaamrani kar raha hun zaifi mein jawani kar raha hun ghurur-e-naqsh-e-awwal pesh kya jae main kar-e-naqsh-e-sani kar raha hun na samjhega koi mujh ko payambar abas dawa-e-sani kar raha hun ajal tu hi subuk kar mujh ko aa kar dilon par main girani kar raha hun dil-e-mashuq patthar hai to howe main is ko pani pani kar raha hun tasawwur hai kahan mujh pas tera main khud baaten zabani kar raha hun nahin pas us ke baitha be-sabab main gulon ki pasbani kar raha hun kabhi tu bhi to mere khwab mein aa main teri yaad jaani kar raha hun farishte ka guzar us tak nahin hai main aaphi bad-gumani kar raha hun nahin ai 'mushafi' fahmida koi abas jadu-bayani kar raha hun