silsila khwabon ka sab yunhi dhara rah jaega ek din bistar pe koi jagta rah jaega ek khwahish dil ko ghair-abaad karti jaegi ek parinda dur tak udta hua rah jaega chaar-su phaili hui be-chehragi ki dhund mein ek din be-aks ho kar aaina rah jaega har sada se bach ke wo ehsas-e-tanhai mein hai apne hi diwar-o-dar mein gunjta rah jaega muddaa hum apna kaghaz par raqam kar jaenge waqt ke hathon mein apna faisla rah jaega do ghadi ke waste aa kar chale jaoge tum phir meri tanhaiyon ka silsila rah jaega ab dilon mein koi gunjaish nahin milti 'hayat' bas kitabon mein likhkha harf-e-wafa rah jaega