mana ki tujh se dur bahut jaan-e-jaan rahe lekin tere khayal se ghafil kahan rahe tang us pe kyon na wusat-e-kaun-o-makan rahe gir jae jo nazar se tumhaari kahan rahe mujh sa na koi kushta-e-yaad-e-khizan rahe lamhat-e-sar-khushi bhi to mujh par giran rahe sajdon ke baad kuchh to wafa ka nishan rahe meri jabin rahe na rahe aastan rahe yun be-niyaz-e-fikr-e-bahaar-o-khizan rahe do chaar roz jaise koi mehman rahe rah-e-talab mein mil na saki manzil-e-umid gum-karda raste mein bahut karwan rahe paiham tasawwuraat-e-mohabbat ka shukriya tum se qarib-tar hi rahe hum jahan rahe kuchh to samajh sakunga nasheb-o-faraaz-e-dahr achchha hai waqt mujh pe giran hai giran rahe tauhin-e-sajda hai wo agar be-khudi nahin jab hosh hi raha to wo sajde kahan rahe phiki bahaar bhi hai mujhe aap ke baghair ek aap hi hon sath to rangin khizan rahe uf main wahan bhi tishna-e-zauq-e-talab raha labrez lakhon shisha-o-saghar jahan rahe ai 'mauj' hum ne gharq safina hi kar diya minnat-kash-e-talatum-o-tufan kahan rahe