rakh-rakhaw mein koi khwar nahin hota yar dost hote hain, har ek yar nahin hota yar do ghadi baitho mere pas, kaho kaisi ho do ghadi baithne se pyar nahin hota yar yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar khush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur pyar ho jae to iqrar nahin hota yar ladkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar aadmi ishq mein bhi khud se nahin ghat sakta aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!! gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan jaan kar koi giraftar nahin hota yar yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein koi afsanwi kirdar nahin hota yar