main ki tanha e'tibar-e-zat khone se hua jo hua wo dil mein shak ka bij bone se hua ek zara se dagh-e-ruswai ka itna phailna aisa daman ko kisi jaldi mein dhone se hua main ne dekha hai chaman se rukhsat-e-gul ka saman sab se pahle rang maddham ek kone se hua main hi banta hun fasad-e-ab-o-gil ka har sabab kis qadar nuqsan mera mere hone se hua ek hangama hua jo raat ke aiwan mein raushni ka khar-e-zulmat mein chubhone se hua kya bataun kis tarah jata raha zad-e-safar ye ziyan bas ek pal raste mein sone se hua sar pe hi rahta agar to sar ka bachna tha muhaal bojh mera kam ise har aan dhone se hua zindagi ghisti rahi 'shahin' basar hone ke sath pairahan ka rang phika roz dhone se hua