nigah-e-saqi-e-na-mehrban ye kya jaane ki tut jate hain khud dil ke sath paimane mili jab un se nazar bas raha tha ek jahan hati nigah to chaaron taraf the virane hayat laghzish-e-paiham ka nam hai saqi labon se jam laga bhi sakun khuda jaane tabassumon ne nikhaara hai kuchh to saqi ke kuchh ahl-e-gham ke sanware hue hain mai-khane ye aag aur nahin dil ki aag hai nadan charagh ho ki na ho jal-bujhenge parwane fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh' sharab ek hai badle hue hain paimane