wahan mahfil na sajai jahan KHalwat nahin ki

wahan mahfil na sajai jahan khalwat nahin ki
us ko socha hi nahin jis se mohabbat nahin ki

ab ke bhi tere liye jaan se guzar jaenge hum
hum ne pahle bhi mohabbat mein siyasat nahin ki

tum se kya wada-khilafi ki shikayat karte
tum ne to laut ke aane ki bhi zahmat nahin ki

dhadkanen sine se aankhon mein simat aai thin
wo bhi khamosh tha hum ne bhi wazahat nahin ki

raat ko raat hi is bar kaha hai hum ne
hum ne is bar bhi tauhin-e-adalat nahin ki

gard-e-aina hatai hai ki sachchai khule
warna tum jaante ho hum ne baghawat nahin ki

bas hamein ishq ki aashufta-sari khinchti hai
rizq ke waste hum ne kabhi hijrat nahin ki

aa zara dekh len duniya ko bhi kis haal mein hai
kai din ho gae dushman ki ziyarat nahin ki

tum ne sab kuchh kiya insan ki izzat nahin ki
kya hua waqt ne jo tum se riayat nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close