safar hamara ki baham bahut nidhaal raha bichhadte waqt magar dil mein kyon sawal raha tere malal mein zam the nigah sans badan mera malal tha khalis ki bas malal raha bichhadne wala kam-az-kam palat ke dekha to bichhadne wale ka kuchh to use khayal raha shab-e-firaq ho ya ho visal ki sa'at tera khayal har ek rang mein kamal raha mere badan mein bas ek ruh-bhar jagah hai dost use hai aana so mujh ko wo ab nikal raha