mere chaaron taraf ye sazish-e-taskhir kaisi hai larazta rahta hun ya rab teri tamir kaisi hai kabhi to puchhti mujh se sabab meri udasi ka hamesha hansti rahti hai teri taswir kaisi hai agar us ke karam ki dhup se mahrum rahta hun to phir ye khana-e-dil mein mere tanwir kaisi hai hum apne aap mein aazad hain lekin khudawanda hamare dast-o-pa mein waqt ki zanjir kaisi hai bachata hai mujhe tir o sinan se kaun roz o shab jo mujh ko katti rahti hai wo shamshir kaisi hai khalaon mein munawwar chaar jaanib aks hai kis ka jo sath-e-ab par raushan hai wo taswir kaisi hai agar tujh se meri aawargi dekhi nahin jati to phir pamal karne mein mujhe takhir kaisi hai thaharta hi nahin 'akhtar' koi lamha masarrat ka guzarti hi nahin ye saat-e-dil-gir kaisi hai