na maqamat na tartib-e-zamani apni ittifaqat pe mabni hai kahani apni jism si jati hai tah-e-harf kisi karb ki mauj tham ke rah jati hai lafzon ki rawani apni phail jati thi samaat ki zaminon mein nami thi kabhi tar-sukhani aab-rasani apni lakh tum mujh ko dabao main ubhar aaunga sath hamwar kiye rahta hai pani apni majra ruh ki wahshat ka niji hai ai 'saz' aage rudad nahin hum ko sunani apni