main na kahta tha mere bhai nahin ho sakti aag pani mein shanasai nahin ho sakti titliyan phul parinde use lene aae is se badh kar to pazirai nahin ho sakti mere chehre pe ye mangi hui aankhen na laga in mein jo hai meri binai nahin ho sakti ek kuan hai so hai malum mere bhaiyon ko raste mein to koi khai nahin ho sakti panting jaan-e-musawwir ke bane hathon ki dar-o-diwar pe ye kai nahin ho sakti jag-hansai meri karwa di zamane bhar mein tum to kahte the ki ruswai nahin ho sakti aa gaya dasta ababilon ka ahmad-'irfan' ab hamein jang mein paspai nahin ho sakti