panchhiyon ki kisi qatar ke sath baal-o-par bhi gae bahaar ke sath kaam aasan to nahin phir bhi ji rahe hain dil-e-figar ke sath aansuon ki tarah wajud mera bahta jata hai aabshaar ke sath ud raha hai jo teri galiyon mein main bhi shamil hun us ghubar ke sath sham-e-wahshat kahan pe le aai tu mujhe apne intizar ke sath aur bhi ek hisar hai 'azhar' shahr-e-zindan ke is hisar ke sath