mard khush-khu nahin to phir kya hai phul mein bu nahin to phir kya hai ho pari-ru hazar koi hasin aadmi-khu nahin to phir kya hai kaun basta hai kabe ke andar aalam-e-hu nahin to phir kya hai wahi aankhen hain aisi hi wahshat yar aahu nahin to phir kya hai mutahayyar hain kyon ye ahl-e-nazar har jagah tu nahin to phir kya hai main musakhkhar hua in aankhon ka in mein jadu nahin to phir kya hai rang-o-bu donon gul ko lazim hain rang hai bu nahin to phir kya hai doston ka bhi qatl-e-am kiya tu halaku nahin to phir kya hai tu hai qattal-e-dahr dil mein tere faiz-e-raju nahin to phir kya hai hain yahan sard-mehr sab mashuq dakan aabu nahin to phir kya hai dil mein faujen hain yas-o-hasrat ki ab ye kampu nahin to phir kya hai jab talak tu hai sau bakhede hain jis ghadi tu nahin to phir kya hai ho jo dushman wo dost ban jae khulq jadu nahin to phir kya hai khwab mein dekhta hun main kale yaad-e-gesu nahin to phir kya hai charkh par chadh ke ban gaya mah-e-nau tera abru nahin to phir kya hai jis ke kahne mein dil ho wo hi diler us pe qabu nahin to phir kya hai murda-dil sun ke ji uthe 'akbar' sher jadu nahin to phir kya hai