paya maza ye hum ne apni nigah ladi ka jo dekhna pada hai ghussa ghadi ghadi ka uqda to naznin ke abru ka hum ne khola ab kholna hai us ki khatir ki gul-jhadi ka is rashk-e-mah ke aage kya qadr hai pari ki kab pahunche husn us ko aisi giri-padi ka is gul-badan ne hans kar ek le ke shakh-e-nasrin hum se kaha ki kije kuchh wasf is chhadi ka jab hum 'nazir' bole ai jaan ye wo chhadi hai dil tutta hai jis par jun phul pankhudi ka