mujh se mat puchh mera haal-e-darun rahne de sun ke tapkega teri aankhon se khun rahne de fasl-e-gul dasht-e-khirad mein hai agarche maujud mujh ko pa-basta-e-zanjir-e-junun rahne de tu karam mujh pe karega to jataega zarur haal jo mera zubun hai to zubun rahne de sadgi si koi zinat nahin hoti jaanan apni in shokh adaon ka fusun rahne de chhed kar phir wahi mazi ke purane qisse mujh se mat chhin mere dil ka sukun rahne de ai zamana main tere sath badalne se raha ab main achchha ki bura jaisa bhi hun rahne de