muft mein kyon len shab-e-gham maut ke aane ka nam

muft mein kyon len shab-e-gham maut ke aane ka nam
hausle ka past ho jaana hai mar jaane ka nam

ab nahin lete dil-e-nadan ke samjhane ka nam
jaise aata hi na ho un ko taras khane ka nam

ek zamana tha nigah-e-sharmagin uthti na thi
ab sar-e-mahfil nahin lete wo sharmane ka nam

ku-e-jaanan mein pahunch kar jaise jannat mil gai
ab dil-e-nadan nahin leta hai ghar jaane ka nam

mard-e-qane ko kisi shai ki nahin hoti kami
tang-dasti hai hawas mein hath phailane ka nam

munhasir hai dil ki dhadkan par hi insan ki hayat
warna marg-e-na-gahan hai dil thahar jaane ka nam

hai tulu-e-subh ya tabani-e-ru-e-sabih
manzar-e-sham-e-siyah gesu bikhar jaane ka nam

apne ruthe ko manana 'zabt' go aasan nahin
hai taqaza-e-mohabbat len na ghabrane ka nam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close