tamam shahr ko jo sach hai wo bataunga phir us ki jitni bhi qimat hui chukaunga main hijr walon ka ek qafila banaunga tumhaare ba'd bhi ji kar tumhein dikhaunga jinhon ne mil ke mere hath kat dale hain unhen ye dar tha ki main aaina banaunga ye pahla ishq bhulana kathin to hai lekin kabhi tu aana tujhe main dua sikhaunga tumhaari jit ko bas dekhne ki khwahish hai so haq pe ho ke bhi aakhir mein haar jaunga us ek baat mein kitni badi aziyyat thi jab us ne itna kaha soch kar bataunga isi sabab se main logon se ab nahin milta 'saghir' us ne kaha tha gale lagaunga