mere nalon se tah-o-baala hui aksar zamin zer-e-pa aaya falak aur barha sar par zamin hai dayar-e-mah-ru ka bas yahi qasid nishan aasman tujh ko nazar aaegi wan ki sar-zamin kis taraf jaun ki ho in do balaon se najat aasman ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin bari bari ye mujhe pisen ba-rang-e-asiya aasman din bhar rahe gardish mein to shab-bhar zamin misl-e-khurshid aasman jalta hai aah-e-garm se kanpti hai thandi sanson se meri thar-thar zamin jis jagah hain dafn qatil teri mizhgan ke shahid wan ewaz sabzi ke paida karti hai nashtar zamin saikdon is mein gae mahbub ja-e-rashk hai rakhti hai aaghosh mein kya kya pari-paikar zamin aatish-e-furqat se aalam kora-e-atish hua aasman hai dud hum akhgar mein aur mujmar zamin ishq-e-khal-e-yar ne aisa kiya zar-o-nahif baithe rahne ko mere kafi hai ab til bhar zamin