main shahri hun magar meri bayabani nahin jati junun kuchh bhi pahan le us ki uryani nahin jati nahin kuchh aur hoga wo mohabbat to nahin hogi ki itni raushni itni ba-asani nahin jati khule hain sare darwaze hamare qaid-khane ke ki darwaze talak zanjir-e-zindani nahin jati buton ko dekhte hi huk si ek dil mein uthti hai dil-e-momin se yaad-e-kufr-samani nahin jati utha lata hun main bazar se roz ek nai aafat mere ghar se bala-e-saz-o-samani nahin jati azal ka dagh-e-hijr itna hamare dil pe raushan hai ki apni wasl ki arzi kahin mani nahin jati main kab ka us ki hadd-e-did se bahar nikal aaya magar us ki taraf se meri nigarani nahin jati tamam aasab par tari hai nasri nazm duniya ki magar 'ehsas'-sahab ki ghazal-khwani nahin jati