na kuchh sitam se tere aah aah karta hun main apne dil ki madad gah gah karta hun na aafrin na dilasa na dil-dahi na nigah gharaz main hi hun jo tujh se nibah karta hun ise kahen hain suna hoga shaikh khauf o raja udhar tu tauba idhar main gunah karta hun tu apne dil ki siyahi kare hai dho ke safed main apne nama amal ka siyah karta hun tu roz sang se masjid ke sar patakta hai main us ka naqsh-e-qadam sajda-gah karta hun tujhe hai apni ibaadat upar nazar kyunkar main us ke fazl ke upar nigah karta hun misal-e-rishta-e-tasbih roz o shab 'hatim' chhupe chhupe main kisi dil mein rah karta hun