sukun-e-dil na mayassar hua zamane mein na yaad rakhne mein tum ko na bhul jaane mein hamesha wusat-e-aflak mein raha hai gham kahan qayam hai shahin ka aashiyane mein uruj-e-tirgi-e-shab se ho sahar paida yahi nizam hai duniya ke kar-khane mein shafaq ke khun ki surkhi bhi ho gai shamil sahar-ba-dosh sitaron ke jhilmilane mein abhi bahaar ka kuchh aur intizar karo ki thodi der hai kaliyon ke muskurane mein ye wo mata-e-giran hai jo mil nahin sakti sukun-e-dil ki tamanna na kar zamane mein kabhi qarar dil-e-be-qarar ko bhi mile ilahi kaun kami hai tere khazane mein kisi se kuchh bhi shikayat karun to kya hasil mila na koi wafa-ashna zamane mein gulon ki bazm hi ranginiyan ba-dosh nahin har ek naqsh hasin hai nigar-khane mein mein raundta hua kanton ko yun guzarta hun ki rah-rawon ko suhulat ho aane jaane mein wo ek tum ho ki tum ko kisi ne kuchh na kaha wo ek hum hain ki ruswa hue zamane mein tere khayal se aati nahin jo lab pe mere wahi to kaam ki ek baat thi fasane mein wo iztirab-e-musalsal ka lutf kya jaane musibaton se jo ghabra gaya zamane mein kuchh andalib ka khun jigar bhi hai shamil gulon ki bazm ki ranginiyan badhane mein hamin to lazzat-e-azar ke nahin khugar unhen bhi lutf sa aata hai kuchh satane mein qusur un ki nigahon ki shokhiyon ka bhi hai hamari jurat-e-shauq-o-talab badhane mein rahega muddaton charcha mera zabanon par kisi ki bazm se 'anwar' uth ke jaane mein