piya ke rukh ki jhalak ka partaw kiya hai jhalkar aaftabi nazar sun aalam ke ho rahi hai misal-e-khuffash be-hijabi jise wo chahta hai mukh dikhane usi ko hai tab dekhne ka wahi samajh bakhsh murshid un ka talab hai tun mang ja shitabi agar mile tujh ko chashm-e-baatin wahi hai maqsud aaqibat se wagarna tahqiq-e-do-jahan mein nahin hai hasil ba-juz kharabi usi ko kahte hain kor baatin jise nahin haiga did us ka na pawega wo najat hargiz agarche wo ilm hai kitabi karim murshid ne chashm-e-baatin kiya nawazish 'alim' ke tain wasa haqiqat ke ghan ka khurshid gai nikal kar nazar sarabi