ye aur baat ki is ahd ki nazar mein hun abhi main kya ki abhi manzil-e-safar mein hun abhi nazar nahin aisi ki dur tak dekhun abhi khabar nahin mujh ko ki kis asar mein hun pighal rahe hain jahan log shoala-e-jaan se sharik main bhi isi mahfil-e-hunar mein hun jo chahe sajda guzare jo chahe thukra de pada hua main zamane ki rahguzar mein hun jo saya ho to darun aur dhup ho to jalun ki ek nakhl-e-numu khak-e-nauha-gar mein hun kiran kiran kabhi khurshid ban ke niklunga abhi charagh ki surat mein apne ghar mein hun bichhad gai hai wo khushbu ujad gaya hai wo rang bas ab to khwab sa kuchh apni chashm-e-tar mein hun