makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai abhi wo shakhs meri dastan se bahar hai utar bhi sakta hai sartan ki tarah mujh mein wo ishq jo mere wahm-o-guman se bahar hai sawal ye nahin mujh se hai kyun gurezan wo sawal ye hai ki kyun jism o jaan se bahar hai na jaane kaise taraazu hua mere dil mein wo ek tir jo teri kaman se bahar hai mere wajud ka aaina puchhta hai mujhe ye aks kab se tere khak-dan se bahar hai khuda-gawah wo is darja khub-surat thi ki mera shauq-e-tamasha bayan se bahar hai hamari jeb mein khwabon ki rezgari hai so len-den hamara dukan se bahar hai mera amin koi tha to wo mera ham-zad aur ab wahi mere pasmandgan se bahar hai 'hasan' mein hiddat-e-hijran se jal bhi sakta hun ki mera jism tere saeban se bahar hai