main tamam gard-o-ghubar hun mujhe meri surat-e-haal de meri khak hai ki udi hui ise jism ke khad-o-khal de ki na jaane kaun mere wajud pe panw rakh ke chala gaya koi naqsh-e-pa hun ruka hua ise raste se nikal de main karun to kya ki jame rahen mere panw meri zamin par mere ghar mein mujh ko sambhaal ya mujhe mere ghar se nikal de ye falak-shigaf imaraten mere aab o gil se bichhad gain mere aab o gil pe karam na kar tu imaraton ko zawal de wo mila ki jaise bichhad gaya koi saneha bhi nahin hua mera ishq bhi koi ishq hai ki na khush kare na malal de mere honth jaane kahan gae ki tere hi nam na le sake mujhe harf o saut ke mawara koi aur khwab-o-khayal de koi barf si hai jami hui meri chotiyan hain dhaki hui mera kohsar tulua ho mere paniyon ko ubaal de